Dec 022010
 

December ab kay aao to…
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana…
Kay jis may jugnoo’n ki kehkashaain jhilmilaati hain…
Jahan titlee kay rangoo’n sey fazaain muskuraati hain…
Wahan chaaro’n taraf khushboo wafa ki hai…
Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar Mehek uthaa…
December ab kay aao to…
Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana…
Jahan per rait kay zarey sitaarey hain…
Gul-o-bulbul, maah-o- anjum wafa kay istiaarey hain…
Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain…
Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai…
Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai…
December hum sey na poocho…
hamaarey sheher ki baabat…
Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai…
Labo’n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein…
Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai…
Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein…
Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain…
Yahan dil kay lahoo mein Apne Laikh’on ko dabo ker ham Sunehray khwaab buntey hein…
Phir unn khwaaboun mein jeetay hein…
Inhi khwaaboun pey martey hein…
Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin…
Magar phir bhi December…
Ab KaY AaOoO Tu…

Incoming search terms:

 Posted by at 4:39 am

Band karli aankhe hunme

 Poetry, Urdu  Comments Off
Dec 022010
 

na behne diya dard ko apni aankho se humne,

vo sochte hai k hum rote hi nahi,

guzari har raat jaag jaag kar humne,

vo kehte k yaad unhe karte hi nahi,

aaj band karli apni aankhe humne hamesha k liye,

kyonki shikayat thi unki k hum sote hi nahi…

Incoming search terms:

 Posted by at 4:37 am