Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon
Dono jahaan chand se chehray pe waar doon

woh lamha aaj bhi meri mutthi main bund hai
us ik nigaah e naaz pe khud ko nisaar doon

Aaeenay main woh khud ko sanware hain jaane kyoun
Apne lahoo se surkh labon ko nikhar doon

Us husne baimisaal ki taareef kuch naheen
baad e saba kahoon tujhe naam e bahar doon

hai yeh kisi haseen ki zulfon se teergi
roshan sahar karoon ke jo inko sanwaar doon

dil kya hai jaan kya hai karun tujh pe sab nisaar
Main do jahaan teri muhabbat main haar doon

Chulkee hai chandni ya shuaaein hain noor ki
woh aa gaye hain bazm main nazrain utaar doon

Mairi bhi umr us ko hi lag jaae ae khuda
Din raat yeh duaaen usay beshumaar doon

Seema kiwaar khol doon sab, gur woh sitamgar
dustak de aik baar main dil baar baar doon

No related posts.