Skip to content

Fun and Entertainment Downloads

Fun and Entertainment; Providing links of all useful Content Xtremely Fast !

Archive

Tag: Kisi

Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon
Dono jahaan chand se chehray pe waar doon

woh lamha aaj bhi meri mutthi main bund hai
us ik nigaah e naaz pe khud ko nisaar doon

Aaeenay main woh khud ko sanware hain jaane kyoun
Apne lahoo se surkh labon ko nikhar doon

Us husne baimisaal ki taareef kuch naheen
baad e saba kahoon tujhe naam e bahar doon

hai yeh kisi haseen ki zulfon se teergi
roshan sahar karoon ke jo inko sanwaar doon

dil kya hai jaan kya hai karun tujh pe sab nisaar
Main do jahaan teri muhabbat main haar doon

Chulkee hai chandni ya shuaaein hain noor ki
woh aa gaye hain bazm main nazrain utaar doon

Mairi bhi umr us ko hi lag jaae ae khuda
Din raat yeh duaaen usay beshumaar doon

Seema kiwaar khol doon sab, gur woh sitamgar
dustak de aik baar main dil baar baar doon

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch
Dil Se Nikli Hui Honton Me Dabi Baat Na Pooch

Wo Kis Adaa Se Merey Saamnay Se Guzraa Abhi
Kis Tarha Mainay Sambhaley Merey Jazbaat Na Pooch

Waqat Jo Badley To Insaan Badal Jaatey Hain
Kya Nahi Dikhlaatey Yeh Gardish-E-Halaat Na Pooch

Wo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Or Mujhey Khabar Na Hui
Kis Tarhan Usney Chudaya Hai Mujh Se Haath Na Pooch

Is Tarhan Pal Mein Mujhay Begana Kar Diya Usnay
Kis Tarhan Apno Se Khaai Hai Mainey Maat Na Pooch

Ab Tera Pyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi Nahi
Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayenaat Na Pooch……