Skip to content

Fun and Entertainment Downloads

Fun and Entertainment; Providing links of all useful Content Xtremely Fast !

Archive

Tag: Bhi
786

Assalam-U-Alaikum

Umeed hay aap sub theek honge.

Aaj men aap k liye ak bht he ( Mufeed ) ( Software ) laya hoon.

Ye sirf ( Translator ) he nhn balke aap ise ( Dictionary ) k torr per bhi istamal kar sakte hain.

Aur ak Aham baat=Ye ( translator ) hukumat pakistan ki taawan se banaya gaya hay.

Umeed hay aap sub ko pasand aaiege.

Name= English to Urdu translation systum

Size=12.9Mb Extract k baad 258 Mb

Kaam= Naam he kaafi hay

Format= RAR

Note= Ye sirf Extract karna hay yeb pehle he Install hay.

Duiaion men yaad rakhiyega

Download

13 MB

15g2kig  English to Urdu Translator + Dictionary ( Hukumat Ke Taawan Se ) Must See Friends

download2d  English to Urdu Translator + Dictionary ( Hukumat Ke Taawan Se ) Must See Friends

http://rapidshare.com/files/360340638/English_to_Urdu_Translator__BZUPAGES.COM_.rar


Aankhon ke raastay tujhay dil main utaar doon
Dono jahaan chand se chehray pe waar doon

woh lamha aaj bhi meri mutthi main bund hai
us ik nigaah e naaz pe khud ko nisaar doon

Aaeenay main woh khud ko sanware hain jaane kyoun
Apne lahoo se surkh labon ko nikhar doon

Us husne baimisaal ki taareef kuch naheen
baad e saba kahoon tujhe naam e bahar doon

hai yeh kisi haseen ki zulfon se teergi
roshan sahar karoon ke jo inko sanwaar doon

dil kya hai jaan kya hai karun tujh pe sab nisaar
Main do jahaan teri muhabbat main haar doon

Chulkee hai chandni ya shuaaein hain noor ki
woh aa gaye hain bazm main nazrain utaar doon

Mairi bhi umr us ko hi lag jaae ae khuda
Din raat yeh duaaen usay beshumaar doon

Seema kiwaar khol doon sab, gur woh sitamgar
dustak de aik baar main dil baar baar doon

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch
Dil Se Nikli Hui Honton Me Dabi Baat Na Pooch

Wo Kis Adaa Se Merey Saamnay Se Guzraa Abhi
Kis Tarha Mainay Sambhaley Merey Jazbaat Na Pooch

Waqat Jo Badley To Insaan Badal Jaatey Hain
Kya Nahi Dikhlaatey Yeh Gardish-E-Halaat Na Pooch

Wo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Or Mujhey Khabar Na Hui
Kis Tarhan Usney Chudaya Hai Mujh Se Haath Na Pooch

Is Tarhan Pal Mein Mujhay Begana Kar Diya Usnay
Kis Tarhan Apno Se Khaai Hai Mainey Maat Na Pooch

Ab Tera Pyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi Nahi
Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayenaat Na Pooch……