Feb 262012
 

kya hua ik baat par barson ka yaarana gaya
is bahane doston ka pyaar pahchanaa gaya
kya sunaye ham kisi ko pyaar ki ye daastaan
jaan jaane ko hai baaqi dil to deewana gaya
kya hua ik baat par barson ka yaarana gaya
unka unke gam ka e dil ab kare afsos kya
jis ko aana tha vo aaya jis ko tha jaana gaya
kya hua ik baat par barson ka yaarana gaya
unse milne ki ijaazat ek bas hamko nahi
unse milne unke ghar har apna begana gaya
kya hua ik baat par barson ka yaarana gaya
is bahane doston ka pyaar pahchanaa gaya

Incoming search terms:

 Posted by at 10:32 pm
Jan 032012
 

 

Lyrics of the song: Hum pe jo Guzarti hay

Hum pay jo guzarti hay
Wo kisi ko kia maloom
Hum tu apny saary dukh

khud hei jheel laity hain
aur apni khushiyan bhi
Khud hei baant laity hain

Dard o gham ki raaton main
Mil kay baith jatay hain

hoon hoooon hoon hoon

Ansoyon ki meshal say
Roshni barhaty hain
Chhoti chhoti Umedain

Aur kuch Sohanay khawab
mil kay daikh laity hain
Hum kisi saharay kay
Muntazir nahi rehtay

Apnay gham ki dildari
Khud hei kerty rehty hain

Uljhay Suljhay Rishton ki
Dooor buntay rehtay hain

Zindagi kay sehra main
Apnay khaali hathon main
Phool chuntay rehtay hain

Haath khaali hon tu kia
Dil bharay hei rehtay hain
Mosame Khizan main bhi
Hum haray hei rehtay hain

 

Incoming search terms:

 Posted by at 2:09 am