May 102012
 

Eik tashnagi thi apne muqadar main kuch na tha
kham bi teyhi the shisha wa sagar main kuch na tha

Sahil pe the to kitne hi gohar nazar main the
Hum gotazan huwey to samandar main kuch na tha

Koy talb na koy tamana na aarzo
Mere khalos k pasmanzar main kuch na tha

Lutne k baad bhi hay fragat ussi tara
Lutne se pahle bhi mere ghar main kuch na tha

Zahnoon ki aazadi ne tarashe naye khuda
Teshe main warna kuch na tha pathar main kuch na tha

Gardaab aztarab tha ya eik moj darad
Is k elawa dil k samandar main kuch na tha

 Posted by at 6:03 pm
May 102012
 


Zamaane mein ab pyar paayaa naa jaaye,
ye zahar ab kisi se bhi khaya naa jaye ,

Tere dar se uth jaate ham kab ke lekin
khud apna janaaza uthaya naa jaaye,

Bujhaya hai jaise mera dil kisi ne,
diya bhi aise bujhaya naa jaaye,

Tamaam isteaare hain sar dar garebaan
wo aankhen hain kaisi bataya naa jaaye,

Ghar apna khud hi fooke rahta hoon lekin,
koi aur ghar ab jalaaya naa jaaye,

Khumar unko jab bhi gham-e-dil sunaaoon,
labon ko hansi se bachaya naa jaaye!!!

 Posted by at 5:48 pm