Barishon kay mosam main

Barishon kay mosam main, Waqt ke Andheron main

Barishon kay mosam main, Waqt ke Andheron main

Incoming search terms:

 

kabhi dhoop jo kay lateef thi meri rooh ko bhi jala gai

wahi dhoop chupky say keh gai mery sath yun na raha kero

mujhy husn ki hi talash thi wo na mil saka to gila nahi

tujhy husn ki hay talash to kabhi khud hi khud say mila kero

ary na Khuda teri bhul hay tera naz-e-kashti fazool hay

jo kabhi safar main raha keor to salamti ki dua kero

tera husn zer-e-hijab hay ye adhopay wajhy azab hay

ye ada tumhari aziz hay mujhy khawab hi main mila kero

teri be-rukhi jo azab thi usay teri hum nay ada kaha

hay yaqeen tum ko to han kaho na yaqeen ho to gila kero

ye sitam garon ka mizaj hay kay jafain un ki saha kero

ye wafaon ka hay mutalba to wafain tum bhi kea kero

© 2011 Fun and Entertainment Suffusion theme by Sayontan Sinha